Kaleem Aajiz

nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
nazar ko aa.ina dil ko tirā shāna banā deñge
tujhe ham kyā se kyā ai zulf-e-jānāna banā deñge
hamīñ achchhā hai ban jaa.eñ sarāpā sarguzisht apnī
nahīñ to log jo chāheñge afsāna banā deñge
umiid aisī na thī mahfil ke arbāb-e-basīrat se
gunāh-e-sham.a ko bhī jurm-e-parvāna banā deñge
hameñ to fikr dil-sāzī kī hai dil hai to duniyā hai
sanam pahle banā deñ phir sanam-ḳhāna banā deñge
na itnā chheḌ kar ai vaqt dīvāna banā ham ko
hue dīvāne ham to sab ko dīvāna banā deñge
na jaane kitne dil ban jā.eñge ik dil ke TukḌe se
vo toḌeñ aa.ina ham ā.ina-ḳhāna banā deñge
Top Urdushayar.com