bekasī hai aur dil nāshād hai
ab inhīñ donoñ se ghar ābād hai
ab unhīñ kī fikr meñ sayyād hai
jin ke naġhmoñ se chaman ābād hai
jo mujhe barbād kar ke shaad hai
us sitamgar ko mubārakbād hai
tum ne jo chāhā vahī ho kar rahā
ye hamārī muḳhtasar rūdād hai
ham ne tum se rakh ke ummīd-e-karam
vo sabaq sīkhā ki ab tak yaad hai
bebasī ban kar na Tapke aañkh se
dil meñ jo ik hasrat-e-fariyād hai