mirā haal pūchh ke ham-nashīñ mire soz-e-dil ko havā na de
bas yahī duā maiñ karūñ huuñ ab ki ye ġham kisī ko ḳhudā na de
ye jo zaḳhm-e-dil ko pakā.e ham liye phir rahe haiñ chhupā.e ham
koī nā-shanās-e-mizāj-e-ġham kahīñ haath us ko lagā na de
tū jahāñ se aaj hai nukta-chīñ kabhī muddatoñ meñ rahā vahīñ
maiñ gadā-e-rāhguzar nahīñ mujhe duur hī se sadā na de
tab-o-tāb-e-ishq kā hai karam ki jamī hai mahfil-e-chashm-e-nam
zarā dekhiyo ai havā-e-ġham ye charāġh koī bujhā na de
vo jo shā.irī kā sabab huā vo mo.āmla bhī ajab huā
maiñ ġhazal sunā.ūñ huuñ is liye ki zamāna us ko bhalā na de