is naaz is andāz se tum haa.e chalo ho
roz ek ġhazal ham se kahlvā.e chalo ho
rakhnā hai kahīñ paañv to rakkho ho kahīñ paañv
chalnā zarā aayā hai to itrā.e chalo ho
dīvāna-e-gul qaidi-e-zanjīr haiñ aur tum
kyā ThaaT se gulshan kī havā khaa.e chalo ho
mai meñ koī ḳhāmī hai na sāġhar meñ koī khoT
piinā nahīñ aa.e hai to chhalkā.e chalo ho
ham kuchh nahīñ kahte haiñ koī kuchh nahīñ kahtā
tum kyā ho tumhīñ sab se kahlvā.e chalo ho
zulfoñ kī to fitrat hī hai lekin mire pyāre
zulfoñ se ziyāda tumhīñ bal khaa.e chalo ho
vo shoḳh sitamgar to sitam Dhaa.e chale hai
tum ho ki 'kalīm' apnī ġhazal gaa.e chalo ho