jab sabā aa.ī idhar zikr-e-bahār aa hī gayā
yaad ham ko inqalāb-e-rozgār aa hī gayā
kis liye ab jabr kī taklīf farmāte haiñ aap
banda-parvar maiñ to zer-e-iḳhtiyār aa hī gayā
lāla-o-gul par jo guzrī hai guzarne dījiye
aap ko to mehrbāñ lutf-e-bahār aa hī gayā
dahr meñ rasm-e-vafā badnām ho kar hī rahī
ham bachāte hī rahe dāman ġhubār aa hī gayā
hañs ke bole ab tujhe zanjīr kī hājat nahīñ
un ko merī bebasī kā e'tibār aa hī gayā
shikva-sanjī apnī aadat meñ nahīñ dāḳhil magar
dil dukhā to lab pe harf-e-nāgavār aa hī gayā