dard kab dil meñ mehrbāñ na rahā
haañ magar qābil-e-bayāñ na rahā
ham jo gulshan meñ the bahār na thī
jab bahār aa.ī āshiyāñ na rahā
ġham garāñ jab na thā garāñ thā mujhe
jab garāñ ho gayā garāñ na rahā
dostoñ kā karam ma.āz-allāh
shikva-e-jaur-e-dushmanāñ na rahā
bijliyoñ ko duā.eñ detā huuñ
dosh par bār-e-āshiyāñ na rahā