mujhe is kā koī gila nahīñ ki bahār ne mujhe kyā diyā
tirī aarzū to nikāl dī tirā hausla to baḌhā diyā
go sitam ne tere har ik tarah mujhe nā-umīd banā diyā
ye mirī vafā kā kamāl hai ki nibāh kar ke dikhā diyā
koī bazm ho koī anjuman ye shi.ār apnā qadīm hai
jahāñ raushnī kī kamī milī vahīñ ik charāġh jalā diyā
tujhe ab bhī mere ḳhulūs kā na yaqīn aa.e to kyā karūñ
tire gesuoñ ko sañvār kar tujhe aa.ina bhī dikhā diyā
merī shā.irī meñ tire sivā koī mājrā hai na mudda.ā
jo tirī nazar kā fasāna thā vo mirī ġhazal ne sunā diyā
ye ġharīb 'ājiz'-e-be-vatan ye ġhubār-e-ḳhātir-e-anjuman
ye ḳharāb jis ke liye huā usī bevafā ne bhulā diyā