jahāñ ġham milā uThāyā phir use ġhazal meñ Dhālā
yahī dard-e-sar ḳharīdā yahī rog ham ne paalā
tire haath se milī hai mujhe āñsuoñ kī maalā
tirī zulf ho do-gūna tirā husn ho do-bālā
ye samāñ use dikhā.ūñ sabā jā use bulā lā
na bahār hai na saaqī na sharāb hai na pyālā
mire dard kī haqīqat koī mere dil se pūchhe
ye charāġh vo hai jis se mire ghar meñ hai ujālā
use anjuman mubārak mujhe fikr-o-fan mubārak
yahī merā taḳht-e-zarrīñ yahīñ merī mirg-chhālā