Kaleem Aajiz

imtihan-e-shauq mein sabit-qadam hota nahin

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
imtihān-e-shauq meñ sābit-qadam hotā nahīñ
ishq jab tak vāqif-e-ādāb-e-ġham hotā nahīñ
un kī ḳhātir se kabhī ham muskurā uTThe to kyā
muskurā lene se dil kā dard kam hotā nahīñ
jo sitam ham par hai us kī nauiyat kuchh aur hai
varna kis par aaj duniyā meñ sitam hotā nahīñ
tum jahāñ ho bazm bhī hai sham.a bhī parvāna bhī
ham jahāñ hote haiñ ye sāmāñ baham hotā nahīñ
raat bhar hotī haiñ kyā kyā anjuman-ārā.iyāñ
sham.a kā koī sharīk-e-sub.h-e-ġham hotā nahīñ
māñgtā hai ham se saaqī qatre qatre kā hisāb
ġhair se koī hisāb-e-besh-o-kam hotā nahīñ
Top Urdushayar.com