ba-īñ qaid-e-ḳhamoshī bhī ġhazal-ḳhvāñ hama-tan ham haiñ
na pāband-e-zabāñ ham haiñ na majbūr-e-suḳhan ham haiñ
gulistāñ meñ sharīk-e-sohbat-e-ahl-e-chaman ham haiñ
bas itnī baat par kyuuñ qābil-e-dār-o-rasan ham haiñ
javāb-e-zulm detī jā rahī hai apnī mazlūmī
idhar talvār rañgīñ hai udhar rañgīñ-kafan ham haiñ
ḳhizāñ se kab kī buniyād-e-gulistāñ gir chukī hotī
magar ye ḳhairiyat hai zer-e-dīvār-e-chaman ham haiñ
nasheman phūñk kar samjheñ ki sab kuchh phūñk Daalā hai
hijāb-e-gul meñ baiThe bijliyoñ par ḳhanda-zan ham haiñ
agarche bazm meñ ham bhī haiñ lekin farq kitnā hai
vaqār-e-anjuman tum ho vabāl-e-anjuman ham haiñ