mirī shā.erī meñ na raqs-e-jām na mai kī rañg-fishāniyāñ
vahī dukh-bharoñ kī hikāyateñ vahī dil-jaloñ kī kahāniyāñ
ye jo āh-o-nāla-o-dard haiñ kisī bevafā kī nishāniyāñ
yahī mere din ke rafīq haiñ yahī merī raat kī rāniyāñ
ye mirī zabāñ pe ġhazal nahīñ maiñ sunā rahā huuñ kahāniyāñ
ki kisī ke ahd-e-shabāb par miTīñ kaisī kaisī javāniyāñ
kabhī āñsuoñ ko sukhā ga.iiñ mire soz-e-dil kī harārateñ
kabhī dil kī naav Dubo ga.iiñ mire āñsuoñ kī ravāniyāñ
abhī us ko is kī ḳhabar kahāñ ki qadam kahāñ hai nazar kahāñ
abhī maslahat kā guzar kahāñ ki na.ī na.ī haiñ javāniyāñ
ye bayān-e-hāl ye guftugū hai mirā nichoḌā huā lahū
abhī sun lo mujh se ki phir kabhū na sunoge aisī kahāniyāñ