Kaleem Aajiz

ye samundar hai kinare hi kinare jao

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
ye samundar hai kināre hī kināre jaao
ishq har shaḳhs ke bas kā nahīñ pyāre jaao
yuuñ to maqtal meñ tamāshā.ī bahut aate haiñ
aao us vaqt ki jis vaqt pukāre jaao
dil kī baazī lage phir jaan kī baazī lag jaa.e
ishq meñ haar ke baiTho nahīñ haare jaao
kaam ban jaa.e agar zulf-e-junūñ ban jaa.e
is liye is ko sañvāro ki sañvāre jaao
koī rasta koī manzil ise dushvār nahīñ
jis jagah chāho mohabbat ke sahāre jaao
ham to miTTī se ugā.eñge mohabbat ke gulāb
tum agar toḌne jaate ho sitāre jaao
Dūbnā hogā agar Dūbnā taqdīr meñ hai
chāhe kashtī pe raho chāhe kināre jaao
tum hī socho bhalā ye shauq koī shauq huā
aaj ūñchā.ī pe baiTho kal utāre jaao
maut se khel ke karte ho mohabbat 'ājiz'
mujh ko Dar hai kahīñ be-maut na maare jaao
Top Urdushayar.com