zindagī mā.il-e-fariyād-o-fuġhāñ aaj bhī hai
kal bhī thā siine pe ik sañg-e-girāñ aaj bhī hai
dil-e-afsurda ko pahlū meñ liye baiThe haiñ
bazm meñ majma.a-e-ḳhasta-jigarāñ aaj bhī hai
talḳhī-e-koh-kanī kal bhī mirā hissa thā
jām-e-shīrīñ ba-nasīb-e-dīgarāñ aaj bhī hai
zaḳhm-e-dil ke nahīñ āsār ba-zāhir lekin
chāra-gar se gila-e-dard-e-nihāñ aaj bhī hai
aaj bhī garm hai bāzār jafā-kāroñ kā
kal bhī ārāsta thī un kī dukāñ aaj bhī hai
gosha-e-amn nahīñ aaj bhī bulbul ko nasīb
chashm-e-sayyād bahar-sū nigarāñ aaj bhī hai
aaj bhī zaḳhm-e-rag-e-gul se Tapaktā hai lahū
ḳhuuñ meñ Duubī huī kāñToñ kī zabāñ aaj bhī hai
zindagī chauñk ke bedār huī hai lekin
chashm-o-dil par asar-e-ḳhvāb-e-girāñ aaj bhī hai
is taraf jins-e-vafā kī vahī arzānī hai
us taraf ik nigah-e-lutf-e-girāñ aaj bhī hai
haif kyuuñ qismat-e-shā.er pe na aa.e 'ājiz'
kal bhī kam-baḳht rahā marsiyāñ-ḳhvāñ aaj bhī hai