Kaleem Aajiz

waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
vaqt ke dar par bhī hai bahut kuchh vaqt ke dar se aage bhī
shām-o-sahar ke saath bhī chaliye shām-o-sahar se aage bhī
aql-o-ḳhirad ke hañgāmoñ meñ shauq kā dāman chhūT na jaa.e
shauq bashar ko le jaatā hai aql-e-bashar se aage bhī
dār-o-rasan kī resha-davānī gardan-o-sar tak rahtī hai
ahl-e-junūñ kā paañv rahā hai gardan-o-sar se aage bhī
mere ghar ko aag lagā kar ham-sāyoñ ko hañsne do
sho.ale baḌh kar jā pahuñcheñge mere ghar se aage bhī
ishq ne rāh-e-vafā samjhā.ī samjhāne ke ba.ad kahā
vaqt paḌā to jaanā hogā rāhguzar se aage bhī
shā.er fikr-o-nazar kā mālik dil kā sultāñ ghar kā faqīr
duniyā kā pāmāl qadam bhī duniyā bhar se aage bhī
āñkheñ jo kuchh dekh rahī haiñ us se dhokā khā.eñ kyā
dil to 'ājiz' dekh rahā hai hadd-e-nazar se aage bhī
Top Urdushayar.com