bulāte kyuuñ ho 'ājiz' ko bulānā kyā mazā de hai
ġhazal kam-baḳht kuchh aisī paḌhe hai dil hilā de hai
mohabbat kyā balā hai chain lenā hī bhulā de hai
zarā bhī aañkh jhapke hai to betābī jagā de hai
tire hāthoñ kī surḳhī ḳhud subūt is baat kā de hai
ki jo kah de hai dīvāna vo kar ke bhī dikhā de hai
ġhazab kī fitna-sāzī aa.e hai us āfat-e-jāñ ko
sharārat ḳhud kare hai aur hameñ tohmat lagā de hai
mirī barbādiyoñ kā Daal kar ilzām duniyā par
vo zālim apne muñh par haath rakh kar muskurā de hai
ab insānoñ kī bastī kā ye aalam hai ki mat pūchho
lage hai aag ik ghar meñ to ham-sāya havā de hai
kaleja thaam kar sunte haiñ lekin sun hī lete haiñ
mire yāroñ ko mere ġham kī talḳhī bhī mazā de hai