qaa.em hai surūr-e-mai-e-gulfām hamārā
kyā ġham hai agar TuuT gayā jaam hamārā
itnā bhī kisī dost kā dushman na ho koī
taklīf hai un ke liye ārām hamārā
phūloñ se mohabbat hai taqāzā-e-tabī.at
kāñToñ se ulajhnā to nahīñ kaam hamārā
bhūle se koī naam vafā kā nahīñ letā
duniyā ko abhī yaad hai anjām hamārā
ġhair aa ke bane haiñ sabab-e-raunaq-e-mahfil
ab aap kī mahfil meñ hai kyā kaam hamārā
mausam ke badalte hī badal jaatī haiñ āñkheñ
yārān-e-chaman bhuul ga.e naam hamārā