na āsmān hai sākit na dil Thahartā hai
zamāna naam guzarne kā hai guzartā hai
vo merī jaan kā dushman sahī magar sayyād
mirī kahī huī bātoñ pe kaan dhartā hai
hamīñ haiñ vo jo umīd-e-fanā pe jiite haiñ
zamāna zindagī-e-be-baqā pe martā hai
abhī abhī dar-e-zindāñ pe kaun kahtā thā
udhar se haT ke chalo koī naale kartā hai
vahī sukūt se ik umr kāTne vaalā
jo sunñe vaalā ho koī to kah guzartā hai
harīf bazm meñ chheḌā kareñ magar 'sāqib'
vo dil jo baiTh gayā ho kahīñ ubhartā hai