Kaleem Aajiz

zaKHmon ke nae phul khilane ke liye aa

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
zaḳhmoñ ke na.e phuul khilāne ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilāne ke liye aa
mastī liye āñkhoñ meñ bikhere hue zulfeñ
aa phir mujhe dīvāna banāne ke liye aa
ab lutf isī meñ hai mazā hai to isī meñ
aa ai mire mahbūb satāne ke liye aa
aa rakh dahan-e-zaḳhm pe phir uñgliyāñ apnī
dil bāñsurī terī hai bajāne ke liye aa
haañ kuchh bhī to derīna mohabbat kā bharam rakh
dil se na aa duniyā ko dikhāne ke liye aa
pyāre tirī sūrat se bhī achchhī hai jo tasvīr
maiñ ne tujhe rakkhī hai dikhāne ke liye, aa
āshufta kahe hai koī dīvāna kahe hai
maiñ kaun huuñ duniyā ko batāne ke liye aa
kuchh roz se ham shahr meñ rusvā na hue haiñ
aa phir koī ilzām lagāne ke liye aa
ab ke jo vo aa jaa.e to 'ājiz' use le kar
mahfil meñ ġhazal apnī sunāne ke liye aa
Top Urdushayar.com