Kaleem Aajiz

gham-e-dil hi gham-e-dauran gham-e-jaanana banta hai

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
ġham-e-dil hī ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāna bantā hai
yahī ġham sher bantā hai yahī afsāna bantā hai
isī se garmī-e-dār-o-rasan hai inqilāboñ meñ
bahāroñ meñ yahī zulf-o-qad-e-jānāna bantā hai
saroñ ke ḳhum surāhī gardanoñ kī jaam zaḳhmoñ ke
muhayyā jab ye ho lete haiñ tab mai-ḳhāna bantā hai
bigaḌtā kyā hai parvāne kā jal kar ḳhaak hone meñ
ki phir parvāne hī kī ḳhaak se parvāna bantā hai
nigāh-e-kam se merī chāk-dāmānī ko mat dekho
hazāroñ hoshyāroñ meñ koī dīvāna bantā hai
ḳharīdā jā nahīñ saktā hai saaqī zarf rindoñ kā
bahut shīshe pighalte haiñ to ik paimāna bantā hai
mire hī donoñ haath aate haiñ kaam un ke sañvarne meñ
dikhātā hai koī ā.īna koī shāna bantā hai
baḌā sarmāya hai sab kuchh luTā denā mohabbat meñ
faqīrāna libās aate haiñ dil shāhāna bantā hai
Top Urdushayar.com