āshnā ġham se milā rāhat se begāna milā
dil bhī ham ko ḳhūbī-e-qismat se dīvāna milā
bulbul-o-gul sham-o-parvāna ko ham par rashk hai
dard jo ham ko milā sab se judā-gāna milā
ham ne saaqī ko bhī dekhā pīr-e-mai-ḳhāna ko bhī
koī bhī in meñ na rāz-āgāh-e-mai-ḳhāna milā
sab ne dāman chaak rakkhā hai ba-qadr-e-ehtiyāj
ham ko dīvānoñ meñ bhī koī na dīvāna milā
ham to ḳhair āshufta-sāmāñ haiñ hamārā kyā savāl
vo to sañvareñ jin ko ā.īna milā shāna milā
kyā qayāmat hai ki ai 'ājiz' hameñ is daur meñ
tab.a shāhāna milī mansab faqīrāna milā