Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
mirī sub.h-e-ġham balā se kabhī shaam tak na pahuñche
mujhe Dar ye hai burā.ī tire naam tak na pahuñche
mire paas kyā vo aate mirā dard kyā miTāte
mirā haal dekhne ko lab-e-bām tak na pahuñche
ho kisī kā mujh pe ehsāñ ye nahīñ pasand mujh ko
tirī sub.h kī tajallī mirī shaam tak na pahuñche
tirī be-ruḳhī pe zālim mirā jī ye chāhtā hai
ki vafā kā mere lab par kabhī naam tak na pahuñche
maiñ fuġhān-e-be-asar kā kabhī mo'tarif nahīñ huuñ
vo sadā hī kyā jo un ke dar-o-bām tak na pahuñche
vo sanam bigaḌ ke mujh se mirā kyā bigāḌ legā
kabhī raaz khol duuñ maiñ to salām tak na pahuñche
mujhe lazzat-e-asīrī kā sabaq paḌhā rahe haiñ
jo nikal ke āshiyāñ se kabhī daam tak na pahuñche
unheñ mehrbāñ samajh leñ mujhe kyā ġharaz paḌī hai
vo karam kā haath hī kyā jo avaam tak na pahuñche
hue faiz-e-mai-kada se sabhī faizyāb lekin
jo ġharīb tishna-lab the vahī jaam tak na pahuñche
jise maiñ ne jagmagāyā usī anjuman meñ saaqī
mirā zikr tak na aa.e mirā naam tak na pahuñche
tumheñ yaad hī na aa.uuñ ye hai aur baat varna
maiñ nahīñ huuñ duur itnā ki salām tak na pahuñche
Top Urdushayar.com