kyā ġham hai agar shikva-e-ġham aam hai pyāre
tū dil ko dukhā terā yahī kaam hai pyāre
tere hī tabassum kā sahar naam hai pyāre
tū khol de gesū to abhī shaam hai pyāre
is vaqt tirā jān-e-jahāñ naam hai pyāre
jo kaam tū kar de vo baḌā kaam hai pyāre
jab pyaar kiyā chain se kyā kaam hai pyāre
is meñ to taḌapne hī meñ ārām hai pyāre
chhūTī hai na chūTegī kabhī pyaar kī aadat
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ jo anjām hai pyāre
ai kaash mirī baat samajh meñ tirī aa.e
merī jo ġhazal hai mirā paiġhām hai pyāre
maiñ huuñ jahāñ sau fikr meñ sau rañj meñ sau dard
tū hai jahāñ ārām hī ārām hai pyāre
go maiñ ne kabhī apnī zabāñ par nahīñ laayā
sab jaan rahe haiñ tirā kyā naam hai pyāre
ham dil ko lagā kar bhī khaTakte haiñ diloñ meñ
tū dil ko dikhā kar bhī dil-ārām hai pyāre
kahtā huuñ ġhazal aur rahā kartā huuñ sarshār
merā yahī shīsha hai yahī jaam hai pyāre