har-chand ġham-o-dard kī qīmat bhī bahut thī
lenā hī paḌā dil ko zarūrat bhī bahut thī
zālim thā vo aur zulm kī aadat bhī bahut thī
majbūr the ham us se mohabbat bhī bahut thī
go tark-e-ta.alluq meñ suhulat bhī bahut thī
lekin na huā ham se ki ġhairat bhī bahut thī
us but ke sitam sah ke dikhā hī diyā ham ne
go apnī tabī.at meñ baġhāvat bhī bahut thī
vāqif hī na thā ramz-e-mohabbat se vo varna
dil ke liye thoḌī sī ināyat hī bahut thī
yuuñ hī nahīñ mash.hūr-e-zamāna mirā qātil
us shaḳhs ko is fan meñ mahārat bhī bahut thī
kyā daur-e-ġhazal thā ki lahū dil meñ bahut thā
aur dil ko lahū karne ke fursat bhī bahut thī
har shaam sunāte the hasīnoñ ko ġhazal ham
jab maal bahut thā to saḳhāvat bhī bahut thī
bulvā ke ham 'ājiz' ko pashemāñ bhī bahut haiñ
kyā kījiye kam-baḳht kī shohrat bhī bahut thī