badlī sī apnī ā.ankhoñ meñ chhā.ī huī sī hai
bhūlī huī sī yaad phir aa.ī huī sī hai
mat haath rakh sulagte kaleje pe ham-nashīñ
ye aag dekhne meñ bujhā.ī huī sī hai
letā huuñ saañs bhī to bhaTaktā hai tan-badan
rag rag meñ ek nok samā.ī huī sī hai
be-sāḳhta kahe hai jo dekhe hai zaḳhm-e-dil
ye choT to unhīñ kī lagā.ī huī sī hai
muddat huī jalā.ī ga.ī shāḳh-e-āshiyāñ
ab tak isī tarah se jalā.ī huī sī hai
jo in kī baat hai vahī merī ġhazal kī baat
lekin zarā ye baat banā.ī huī sī hai
chheḌī ġhazal jo tum ne to aisā lagā 'kalīm'
ḳhushbū kisī kī zulf kī aa.ī huī sī hai