Kaleem Aajiz

kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
kaun 'ājiz' sila-e-tishna-e-dahānī māñge
ye jahāñ aag use detā hai jo paanī māñge
dil bhī gardan bhī hathelī pe liye phirtā huuñ
jaane kab kis kā lahū terī javānī māñge
toḌiye maslahat-e-vaqt kī dīvāroñ ko
raah jis vaqt tabī.at kī ravānī māñge
māñgnā jurm hai fankār se tartīb-e-ḳhayāl
gesū-e-vaqt jab āshufta-bayānī māñge
saaqī tū chāhe to vo daur bhī aa saktā hai
ki mile jām-e-sharāb us ko jo paanī māñge
kis kā siina hai jo zaḳhmoñ se nahīñ hai ma.amūr
kyā koī tujh se mohabbat kī nishānī māñge
dil to de hī chukā ab hai ye irāda apnā
jaan bhī de duuñ jo vo dushman-e-jānī māñge
haiñ mire shīsha-e-sahbā-e-suḳhan meñ donoñ
na.ī māñge koī mujh se ki purānī māñge
Top Urdushayar.com