baḌī talab thī baḌā intizār dekho to
bahār laa.ī hai kaisī bahār dekho to
ye kyā huā ki salāmat nahīñ koī dāman
chaman meñ phuul khile haiñ ki ḳhaar dekho to
lahū diloñ kā charāġhoñ meñ kal bhī jaltā thā
aur aaj bhī hai vahī kārobār dekho to
yahāñ har ik rasan-o-dār hī dikhātā hai
ajiib shahr ajiib shahryār dekho to
na koī shāna bachā hai na koī ā.īna
darāz-dastī-e-gesū-e-yār dekho to
kisī se pyaar nahīñ phir bhī pyaar hai sab se
vo mast-e-husn hai kyā hoshiyār dekho to
vo chup bhī baiThe hai to aisā ban ke baiThe hai
har ik adā ye kahe hai pukār dekho to
abhī to ḳhuun kā sindūr hī lagāyā hai
abhī kare hai vo kyā kyā siñgār dekho to
adā hamīñ ne sikhā.ī nazar hamīñ ne dī
hamīñ se aañkh churāo ho yaar dekho to
asiir kar ke hameñ kyā phire hai itrātā
gale meñ Daale vo phūloñ kā haar dekho to