ham ko to be-savāl mile be-talab mile
ham vo nahīñ haiñ saaqī ki jab māñgeñ tab mile
fariyād hī meñ ahd-e-bahārāñ guzar gayā
aise khule ki phir na kabhī lab se lab mile
ham ye samajh rahe the hamīñ bad-nasīb haiñ
dekhā to mai-kade meñ bahut tishna-lab mile
kis ne vafā kā ham ko vafā se diyā javāb
is rāste meñ lūTne vaale hī sab mile
milte haiñ sab kisī na kisī mudda.ā ke saath
armān hī rahā ki koī be-sabab mile
rakkhā kahāñ hai ishq ne 'ājiz' ko hosh meñ
mat chheḌiyo agar kahīñ vo be-adab mile