Kaleem Aajiz

ye diwane kabhi pabandiyon ka gham nahin lenge

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
ye dīvāne kabhī pābandiyoñ kā ġham nahīñ leñge
garebāñ chaak jab tak kar na leñge dam nahīñ leñge
lahū deñge to leñge pyaar motī ham nahīñ leñge
hameñ phūloñ ke badle phuul do shabnam nahīñ leñge
ye ġham kis ne diyā hai pūchh mat ai ham-nashīñ ham se
zamāna le rahā hai naam us kā ham nahīñ leñge
mohabbat karne vaale bhī ajab ḳhuddār hote haiñ
jigar par zaḳhm leñge zaḳhm par marham nahīñ leñge
ġham-e-dil hī ke māroñ ko ġham-e-ayyām bhī de do
ġham itnā lene vaale kyā ab itnā ġham nahīñ leñge
sañvāre jā rahe haiñ ham ulajhtī jaatī haiñ zulfeñ
tum apne zimma lo ab ye bakheḌā ham nahīñ leñge
shikāyat un se karnā go musībat mol lenā hai
magar 'ājiz' ġhazal ham be-sunā.e dam nahīñ leñge
Top Urdushayar.com