unheñ fariyād nā-zebā lage hai
sitam karte bahut achchhā lage hai
ḳhudā us bazm meñ hāfiz hai dil kā
yahāñ har roz ik charkā lage hai
unheñ apne bhī lagte haiñ parā.e
parāyā bhī hameñ apnā lage hai
baġhair us bevafā se jī lagā.e
jo sach pūchho to jī kis kā lage hai
mohabbat dil-lagī jaano ho pyāre
vahī jaane hai dil jis kā lage hai
uThā aage se saaqī jām-o-mīnā
dil achchhā ho to sab achchhā lage hai
zarā dekh aa.ina merī vafā kā
ki tū kaisā thā ab kaisā lage hai
ġhazal sun kar mirī kahne lage vo
mujhe ye shaḳhs dīvāna lage hai
zarūr aayā karo jalse meñ 'ājiz'
na aao ho to sannāTā lage hai