hai inhīñ do nāmoñ se har ek afsāne kā naam
ek terā naam hai ik tere dīvāne kā naam
tujh se raushan hai charāġh-e-mahfil-e-dār-o-rasan
mujh se bhī is daur meñ zinda hai parvāne kā naam
terī zulf-o-chashm-o-lab kā naam hai merī ġhazal
terā andāz-e-suḳhan mere ġhazal gaane kā naam
chal usī andāz se haañ chal usī andāz se
shoḳhī-e-bād-e-sabā hai tere iThlāne kā naam
mauj-e-ḳhushbū-e-ġhazal be-rañgī-e-rū-e-ġhazal
ik tire aane kā hai naam ik tire jaane kā naam
zinda-e-jāved merī shā.irī ne kar diyā
naam tere gesuoñ kā aur mire shāne kā naam
phuul toḌe koī patthar ham ko maarā jaa.e hai
tū ne itnā kar diyā badnām dīvāne kā naam
ham haiñ 'ājiz' ābrū-e-bazm-e-yārān-e-ġhazal
ab isī ā.īne se hai ā.ina-ḳhāne kā naam