Sarfraz Arish

ashk in sipiyon mein bhar jaen

Sarfraz Arish

ashk in sīpiyoñ meñ bhar jaa.eñ
to vahāñ Dūbne guhar jaa.eñ
ḳhāmushī ab tirī vazāhat ko
tere mimbar se ham utar jaa.eñ
dasht sab ke liye nahīñ vahshat
kuchh talabgār apne ghar jaa.eñ
rāste mere paas baiTh raheñ
fāsle duur se guzar jaa.eñ
titliyāñ rañg jhaaḌ leñ apne
phir tire hoñT par utar jaa.eñ
ham bhī dariyā ke nā-dahinda haiñ
kashtiyāñ chhoḌ kar kidhar jaa.eñ
rā.egānī pe fātiha kahne
ham suhūlat kī qabr par jaa.eñ
zo.am shorīdgī ke maare hue
lafz āvāz par utar jaa.eñ
aaj bas ḳhāl-o-ḳhad uThā.e chaleñ
ḳhvāhisheñ ā.inoñ meñ dhar jaa.eñ
tū koī maz.haka nahīñ hai ki ham
dastaras meñ ḳhudā kī mar jaa.eñ
nā-rasā.ī kī chaah meñ 'ārish'
ābla-pā mire safar jaa.eñ
Top Urdushayar.com