āñkheñ zamīn aur falak dastkār haiñ
paanī ke jitne ruup haiñ sab musta.ār haiñ
ḳhud ko akelā jaan ke tanhā na jānñā
ye aa.ine nahīñ haiñ tire pahre-dār haiñ
mushkil kī is ghaḌī meñ karūñ kis se mashvara
kuchh dost haiñ to vo bhī fasāna-nigār haiñ
ye chhāñv jaisī dhuup hamārā mizāj hai
ham log āftāb haiñ aur sāya-dār haiñ
'ārish' jo mere sar pe nahīñ ho sake savār
vo saare log merī kamar par savār haiñ