paanī meñ agar aks kī hālat meñ bahūñ maiñ
mumkin hai kināre kā kināra hī rahūñ maiñ
ai ḳhāma-gar-e-vaqt mujhe izn-e-suḳhan de
tujh se tirī rif.at ke tavassul se malūñ maiñ
chaltī huī bātoñ meñ use kaam paḌe yaad
Thahre hue lafzoñ meñ ijāzat kā kahūñ maiñ
bīnā.ī ko tarsī huī be-rañgī ke dar par
āñkhoñ kī asīrī meñ likhī nazm paḌhūñ maiñ
āvāzoñ ke jathe meñ tirā lahja parakhte
ḳhāmoshī se phailī huī ḳhāmoshī sunūñ maiñ
jañgal sī pur-asrār ḳhamoshī liye 'ārish'
jharne kī tarah shor machātā bhī rahūñ maiñ