na koī mamnuā daana khānā na ḳhauf dil meñ utārnā thā
jo ham ne pahlā gunah kiyā thā kisī kī naqleñ utārnā thā
jadīd duniyā meñ aane vāloñ kī pahlī muDbheḌ ham se hotī
hamāre unit kā kaam un ke badan se mohreñ utārnā thā
ḳhudā na hotā to kārvān-e-jahāñ meñ apnī jagah na bantī
ki in dinoñ meñ hamārā pesha safar meñ nazreñ utārnā thā
ham aise lafzoñ ke kārīgar the ki manDiyoñ meñ hamārā Thekā
shu.ūr-e-kuza-garī kī ḳhātir varaq pe shakleñ utārnā thā
hamāre logoñ ne bāhamī mashvare se mil kar bujhā diye the
vo diip jin ke hasab nasab meñ zamīñ pe sub.heñ utārnā thā
hamārī ghaḌiyoñ pe shaam hone meñ pāñch bajne meñ din paḌe the
so ham ko chhuTTī se pahle ḳhud ko kisī lahad meñ utārnā thā
kisī ke lahje kī chaaT aisī lagī ki apnā shi.ār 'ārish'
mukālme ke junūñ meñ ḳhud par udaas nazmeñ utārnā thā