Gulzar Vafa Chaudari

uDna to bahut uDna aflak pe ja rahna

Gulzar Vafa Chaudari

uḌnā to bahut uḌnā aflāk pe jā rahnā
ham ne kahāñ sīkhā hai zer-e-kaf-e-pā rahnā
āñkhoñ ko khulā rakhnā kis ke liye āsāñ hai
yaañ kis ko gavārā hai āñkhoñ kā khulā rahnā
jo mauja-e-bād aayā zardī kā payambar thā
e.ajāz se kyā kam hai peḌoñ kā harā rahnā
bāġhoñ meñ ḳhirāmāñ thī shahroñ meñ pareshāñ hai
ḳhushbū ko na raas aayā pāband-e-havā rahnā
maiñ zaat ke sahrā meñ tā-umr na bhaTkūñgā
ai shahr ke darvāzo mere liye vā rahnā
Top Urdushayar.com