taare hamārī ḳhaak meñ bikhre paḌe rahe
ye kyā ki tere nain falak se laḌe rahe
ham the safar-nasīb so manzil se jā mile
jo sañg-e-mīl the vo zamīñ meñ gaḌe rahe
logoñ ne iiñT iiñT par qabza jamā liyā
ham dam-ba-ḳhud makān se bāhar khaḌe rahe
ham ko to jhūlnā hī thā insāf ke liye
ye kiil kyuuñ salīb meñ nāhaq jaḌe rahe
ra.anā.ī apnī chhīntā hai mausamoñ se ab
maazī meñ jis daraḳht ke patte jhaḌe rahe
jin kī jaḌeñ zamīn ke andar thiiñ duur tak
vo peḌ āñkhiyoñ ke muqābil aḌe rahe