kaun sī manzil hai jo be-ḳhvāb āñkhoñ meñ nahīñ
ek sūraj DhūñDhtā huuñ jo ki sapnoñ meñ nahīñ
dekhtā rahtā huuñ miTte shahr ke naqsh-o-nigār
aañkh meñ vo sūrateñ bhī haiñ ki galiyoñ meñ nahīñ
mausamoñ kā ruḳh udhar ko hai havāoñ kā idhar
jañgaloñ meñ baat koī hai ki shahroñ meñ nahīñ
piilī piilī titliyāñ haiñ aur mahrūmī kā raqs
kaun sā vo zā.iqa hogā ki phūloñ meñ nahīñ
yuuñ to har jānib khaḌe haiñ ye qatār-andar-qatār
ek ThanDak hai ki in peḌoñ ke sāyoñ meñ nahīñ
chāñd tāroñ kī ziyā.eñ kahkashāoñ ke hujūm
kaun sā vo āsmāñ hai jo zamīnoñ meñ nahīñ