muntashir ho kar rahe ye aisā shīrāza na thā
ḳhaak ho jaanā mire hone kā ḳhamyāza na thā
maiñ butūn-e-zāt meñ aur tū ḳhalā meñ gum rahā
ḳhaak ke jauhar kā ham donoñ ko andāza na thā
āb-pāshī se rahe ġhāfil shajar-kārī ke ba.ad
ab jo dekhā ek paudā bhī tar-o-tāza na thā
ham meñ jo āzād thā āzād-tar ho kar rahā
ab vahī be-ghar hai jis ke ghar kā darvāza na thā
jabr ke ehsās kī āvāz to pahle bhī thī
inqalāb-e-qismat-e-ādam kā āvāza na thā