dhuul na banñā ā.īnoñ par baar na honā
bīnā.ī ke raste kī dīvār na honā
shahroñ kā virsa haiñ jalte-bujhte manzar
rahnā lekin ham-rañg-e-bāzār na honā
zahr-havā.eñ purvā rañgoñ meñ chaltī haiñ
saada kaliyo un ke liye gulnār na honā
milne kā khilne kā mausam duur nahīñ hai
naḳhl-e-mātam ai mere ashjār na honā
maiñ ne chaman kī ḳhātir kaun se dukh jhele haiñ
shāḳh-e-bahārāñ mere liye gul-bār na honā