maiñ sirf vo nahīñ jo nazar aa gayā tujhe
muzhda phir izn-e-bār-e-digar aa gayā tujhe
sahrā meñ jaan dene ke mauqe to ab bhī haiñ
vo kyā junūñ thā le ke jo ghar aa gayā tujhe
pahle kabhī to maut ko tujh se gila na thā
jiine kā aaj kaise hunar aa gayā tujhe
is daur meñ ye faḳhr bhī kis ko nasīb hai
chehra to ā.īne meñ nazar aa gayā tujhe
is shahr meñ to kuchh nahīñ rusvā.ī ke sivā
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayā tujhe