Dil Ayubi

ada-e-hairat-e-aina-gar bhi rakhte hain

Dil Ayubi

Tonk, Rajasthan, India

1929
adā-e-hairat-e-ā.īnā-gar bhī rakhte haiñ
hameñ na chheḌ ki ab tak nazar bhī rakhte haiñ
na gird-o-pesh se is darja be-niyāz guzar
jo be-ḳhabar se haiñ sab kī ḳhabar bhī rakhte haiñ
kahāñ gayā tirī mahfil meñ zom-e-dīda-varāñ
ye hausla to yahāñ kam-nazar bhī rakhte haiñ
qafas ko khol magar itnā soch le sayyād
bahut asiir tere bāl-o-par bhī rakhte haiñ
farishta hai to taqaddus tujhe mubārak ho
ham aadmī haiñ to aib-o-hunar bhī rakhte haiñ
ḳhushā-nasīb ki dīvāne haiñ to ham ai 'dil'
kamāl-e-nisbat-e-dīvāna-gar bhī rakhte haiñ
Top Urdushayar.com