mahv kar dī zehn se ġham ne tirī tasvīr bhī
donoñ dushman haiñ mirī taqdīr bhī tadbīr bhī
muskurātī hai mirī āñkhoñ meñ aañsū dekh kar
kis qadar be-dard hai zālim tirī tasvīr bhī
kis qadar nāzuk hai ehsāsāt kā aalam ki ishq
ek hī nashsha hai lekin zahr bhī iksīr bhī
in ke dīvānoñ kī saj-dhaj ko hiqārat se na dekh
ishq kā zevar haiñ nādāñ tauq bhī zanjīr bhī
ai 'dil' us kī yaad hai goyā usī kā aa.ina
muzda-e-jāñ-baḳhsh bhī chaltī huī shamshīr bhī