Dil Ayubi

dil par rakho nigah jigar par nazar karo

Dil Ayubi

Tonk, Rajasthan, India

1929
dil par rakho nigāh jigar par nazar karo
maqdūr ho to zaat meñ apnī safar karo
hañgām-e-ḳhair-maqdam-e-sub.h-e-nashāt hai
parvāna-vār shaam se raqs-e-sharar karo
zanjīr toḌnā bhī baḌā kaam thā magar
fursat meñ ho to zīnat-e-dīvār-o-dar karo
māyūs-kun hai ālam-e-imkāñ abhī to kyā
duniyā-e-mumkināt pe apnī nazar karo
jo ġham bhī de hayāt ḳhushī se qubūl ho
itnā to ehtimām ġham-e-mo'tabar karo
apnoñ ko to nibāhane vaale hazār haiñ
insān ho to dil meñ adū ke bhī ghar karo
jaatā nahīñ ye tiir kisī haal meñ ḳhatā
har marhala hayāt kā ulfat se sar karo
sab luT rahe haiñ bar-sar-e-bāzār in dinoñ
kis se kaheñ ki qadr-e-matā-e-hunar karo
ik rahguzār manzil-e-mastī hai mai-kada
har riñd ko ḳhushī se sharīk-e-safar karo
ai 'dil' bahut ḳharāb haiñ hālāt shahr ke
yaañ jis kisī se baat karo muḳhtasar karo
Top Urdushayar.com