Dil Ayubi

kitne hue hain KHun yahan ek usul ke

Dil Ayubi

Tonk, Rajasthan, India

1929
kitne hue haiñ ḳhuun yahāñ ik usuul ke
ā.eñge ab na shahr-e-tamannā meñ bhuul ke
saarī musāfirat kī thakan duur ho ga.ī
pesh aa.e kitne pyaar se kāñTe babūl ke
chehre hue jo gard to ā.īna ban ga.e
kyā turfa mo.ajizāt the sahrā kī dhuul ke
kitnā hasīñ thā jurm-e-ġham-e-dil ki do-jahāñ
dar pe haiñ aaj tak mire rañg-e-qubūl ke
nāzāñ hai zindagī mirī ab un kī maut par
jo log rah ga.e tirī bāhoñ meñ jhuul ke
aane ko thī bas āḳhirī hichkī marīz ko
qurbān jā.iye tirī shān-e-nuzūl ke
ai 'dil' ye haal ishq meñ hogā ḳhabar na thī
pachhtā.e ham to rog lagā kar fuzūl ke
Top Urdushayar.com