saare nuqūsh jis pe tire āshiyāñ ke haiñ
dair-o-haram ġhubār usī kārvāñ ke haiñ
vādi-e-kohsār-o-bayābāñ-o-gulistāñ
ajzā-e-rañg-rañg mirī dāstāñ ke haiñ
har chand kū-e-yār bahut fāsle pe hai
badle hue abhī se mizāj āsmāñ ke haiñ
hamdam hañsī uḌā na dil-e-dāġh-dāġh kī
tohfe diye hue ye kisī mehrbāñ ke haiñ
hoñ zehn ke darīche agar vā to dekh le
parvarda sab yaqīñ mire husn-e-gumāñ ke haiñ
kyā dushmanoñ kī kījiye ai 'dil' shikāyateñ
maare hue to ham karam-e-dostāñ ke haiñ