hasīñ hai shahr to ujlat meñ kyuuñ guzar jaa.eñ
junūn-e-shauq use bhī nihāl kar jaa.eñ
ye aur baat ki ham ko nazar nahīñ aa.e
magar vo saath hī rahtā hai ham jidhar jaa.eñ
hayāt-e-ishq kā maqsūd ban ga.ī āḳhir
ye aarzū ki tirā naam le ke mar jaa.eñ
ye rāh-e-ishq hai āḳhir koī mazāq nahīñ
sa.ūbatoñ se jo ghabrā ga.e hoñ ghar jaa.eñ
pahuñch ke manzil-e-maqsūd par hī dam leñge
ki chal paḌe haiñ to kis muñh se lauT kar jaa.eñ