ḳhair se ab hai vahāñ aap kā bīmār ki bas
is qadar der lagā dī mire sarkār ki bas
ser hotā hī nahīñ zauq-e-tamāshā lekin
mujh se kahtī hai mirī jur.at-e-dīdār ki bas
hijr ke naam pe bhī vasl ke unvān se bhī
ishq ne itne diye haiñ mujhe āzār ki bas
kis qadar thī vo nazar ā.ina-kirdār na pūchh
is qadar chuur huā hai but-e-pindār ki bas
na ġham-e-dil ke hī bas ke na ġham-e-daurāñ ke
itne āzād hue tere giraftār ki bas