tire ḳhayāl ke sadqe ye kyā maqām aayā
kabhī hayāt kabhī maut kā payām aayā
tirā ḳhayāl mirā soz-e-ārzū-e-sahar
koī to thā shab-e-furqat jo dil ke kaam aayā
kisī umiid kā maarā dikhā.ī detā thā
vo ḳhush-nasīb parinda jo zer-e-dām aayā
kisī ke ḳhat meñ kaheñ zikr tak na thā us kā
vo ik payām-e-ḳhusūsī jo dil ke naam aayā
na pūchh kitnī hayāt-āfrīñ hai rāh-e-vafā
sunā hai 'dil' bhī usī marhale meñ kaam aayā