naqd-e-dil hai ki garebān ke har taar meñ hai
hausla ab bhī bahut tere ḳharīdār meñ hai
yaañ koī sho.ala-ba-jāñ aur bhī Thahrā hogā
kis qayāmat kī tapish sāya-e-dīvār meñ hai
kitnā miltā hai mire qalb kī kaifiyyat se
ye jo hañgāma tire kūcha-o-bāzār meñ hai
zaḳhm ehsās ko jo zahr harā hī rakkhe
teġh-e-āhan meñ nahīñ baat kī talvār meñ hai
saare gulshan ko jalāne ke liye kaafī hai
ek sho.ala jo dil murġh-e-giraftār meñ hai
zāmin nashv-o-numā-e-gul-e-tar hai ai 'dil'
dard-mandī kī ḳhalish sī jo dil-e-ḳhār meñ hai