Dhañg jiine kā na marne kī adā māñgī thī
ham ne to jurm-e-mohabbat kī sazā māñgī thī
kyā ḳhabar thī ki añdheroñ ko bhī sharmā deñge
jin ujāloñ ke liye ham ne duā māñgī thī
ishq meñ rāz-e-baqā kyā hai ḳhabar thī ham ko
ham ne kuchh soch samajh kar hī fanā māñgī thī
māñgne vāloñ meñ shāmil to the ham bhī lekin
ham ne us dar pe faqat tarz-e-navā māñgī thī
ban ga.ī husn-e-talab bhī to muamma ai 'dil'
dard māñgā thā vo samjhe ki davā māñgī thī